Azadi Mein Lahoo-Luhan Hai Sambidhan Hamare Mulk Ka
Rahbar Ke Bhesh Mein Mil Rahe Hai Rehjan Kone Kone Mein..
Inkalab Ki Aandhi Mein Ye Serfaroshi Ka Dhaur Hai,
Bhagawat Ki Aag Fhook Rahe Aman Ke Kone Kone Mein..
Sholo Pe Jal Ute Kadam Sooli Pe Chahe Nikle Dham
Kayamat Ke Jaise Uberenge Hum Dushman Ke Kone Kone Mein
Kanoon Ke Nizam Tak Haiy Jelon Ke Anjaam Tak
Serkash Tarane Ghoonj Rahe Hai Daman Ke Kone Kone Main
Aise Toh Zindagi Sabhi Ki Amanate Hai Maut Ki
Mit.Thi Nahi Roohein Kabhi Dafan Ke Kone Kone Mein
Mehengayi Mein Phoolon Ke Bahut Gazre Nilaam Ho Rahe
Aur Kanton Per Bhaure Ro Rahe Chaman Ke Kone Kone Mein
Lahoo Se Pyas Bhujane Ko Satta Ke Bhooke Rahnuma
Naslon Ki Maa Jala Rahe Milan Ke Kone Kone Mein
Gautam, Nanak, Gandhi Ke Armanon Ko Goli Marke
Serfire Bhatak Rahe Fir Hanan Ke Kone Kone Mein
Gardish Mein Haq Ke Waste Aalam Ko Chot Dega Dil,
Aajma Lo “Roja” Hasthi Ko Tasan Ke Kone Kone Mein..