Ab hum juda ho kar sayad mil na pain gain.
Aik dosray ko magar phir bhi yaad ayen gain.
Dhoonda karain gi baharain humain gulshan main ja ja kar.
Udaas si ho jayen gi humain wahan na pa kar.
Ab mosamee bahar ko hum ghar main hi manyen gain.
Ab hum juda ho kar sayad mil nay payen gain.
Dil tumhain pukaray ga dhonday gi nazar hamari.
Har aik lamha hum ko aye gi yaad tumhari.
Tanhia main beth kar hum phir dil ko yeh samjhayen gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gay.
Rehain lain gain hum bhi is dunya main kahin bus kar.
Sabab ansouoon ka taal dain gay sab ko hans kar.
Teray bagair bhi ab meray din guzar jain gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gay.
Tum na ho gay to meray geet kon sunay ga.
Hontoon par meray lafzoon ka jaal kon bunay ga.
Hal-e- dil hum apna phir kis ko sunain gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gay.
Ab jo hum milain to woh jazbaat to na houn gay.
Pehli mohabbat kay woh ehsasaat to na houn gay.
Ab jo hum milain bhi to kiya payen gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gain.