shehr-e-fana hoon, tere kis kam ka hoon.

ek bujha sa diya hoon, tere kis kam ka hoon?

te rafaqat ke liye aur kisi ko chun le,

main tu khud aabla pa hoon, tere kis kam ka hoon

tujh ko darkar hain pholon ke mehakte saaye,

main tu sehra mein khara hoon, tere kis kam ka hoon?

Ae parstare gul-e-tar tera rasta takte takte

Sham se sookh gaya hoon, tere kis kam ka hoon?

Tu bhi auron ki tarah mujh se kinara kar le

Saari duniya se bura hoon, tere kis kam ka hoon?