Tanhai Mein Aksar Dil Toot Sa Jata Hai
Yun Hi Tanha Dil Kisi Se Ruth Sa Jata Hai
Main Koi Shayar To Nahi Jo Nazam Likhu
Dil Me Uthe Zazbaaton Ko Kuch Dard Bahre Ehsaason Ko
Lafzon Me Samete Jati Hu Yunhi Aksar Tanhai Me
Pal Pal Yaadon Ke Saye Hai Meri Palko Me Samayein Hai
Tanhai Se Bhari In Raatoin Me Akele Raahon Se Gujre Hai
Na Manzil Mili Na Sathi Koi Ab To Tanhai Se Bhara Har Ek Safar Hai
Khushiyan Bhi Pata Ab Bhul Gayi Hai Jaise Bhule Sab Sathi Hai
Ye Kaisa Manzar Hai Sochti Hu Main Yunhi Aksar Tanhai Mein…
– Pari