Main Apne Chaar By Chaar Kamre Mein Kab Se Band Pada Hoon
Kisi Ka Thikaana Nahin
Seher-O-Shaam Andhera Hai
Phir Bhi Ek Umeed Hai
Usne Kaha Tha Main Laut Aaunga…
Mere Kamre Mein Woh Bulb Bhi Jal Gaya
Saari Cheeze Raakh Ho Chuki Hain
Deewaro Par Kaale Dhab-be Nazar Aate Hai
Ab Roshni Ki Aas Bhi Nahi
Phir Bhi Ek Umeed Hai
Usne Kaha Tha Main Laut Aaunga…
Mere Bistar Par Itni Dhool Hai
Ab Woh Chadhar Ka Karu Toh Bhi Kya Karu Main
Zindagi Toh Meri Kab Ki Paao Se Guzar Gayi
Maut Ki Taarik Bhi Nahi Deta
Usne Kaha Tha Main Laut Aaunga…
Khwaishon Ko Dafna Diya Tha
Hawaao Ko Galle Lagana Tha
Woh Taala Laga Kar Chala Gaya ‘Masroor’
Lekin Yeh Sab Ke Bawa-jood Ek Umeed Hai
Usne Kaha Tha Main Laut Aaunga….
– Masroor