Koi Hath Nahi Khaali Hai
Baba Ye Nagri Kaisi Hai
Koi Kisi Ka Dard Na Jane
Sabko Apni Apni Padi Hai
Uska Bhi Kuch Haq Hai Aakhir
Usne Mujhse Nafrat Ki Hai
Jaise Sadiyan Beet Chuki Hon
Fir Bhi Aadhi Raat Abhi Hai
Kaise Kategi Tanha-Tanha
Itni Saari Umar Padi Hai
Hum Dono Ki Khoob Nibhegi
Main Bhi Dhukhi Hoon Voh Bhi Dukhi Hai
Ab Gham Se Kya Nata Tode
Zalim Bachpan Ka Sathi Hai
– Bashir Badr