Kaha Tak Bach Skta Hu Apni Badkismati Se
Koi Btaye Muzhe Main Jau Kaha-Kaha
Har Waqt Rehta Hai Meri Aankho Me Sailab Koi
Main Sapno Mein Ghar Bsau Kaha-Kaha
Koi Mila Tha Muzhe Zindagi Ka Sahara Bnkar Wafao Ko Liye
Mgar Main Use Uski Zafaye Sunau Kaha-Kaha
Mat Puchho Uske Diye Zakhamo Ka Haal Kya H Dosto
Tumhe Dikhau Kaha-Kaha, Un Par Marham Lagau Kaha-Kaha
Haye Khuda Bhi Sang-E-Dilo Ka Bankar Reh Gya Hai
Mai Apne Hatho Ko Uthau Kaha-Kaha
Na Krar Dil Ko Milta Hai, Na Hi Kisi Baazaar Mein Bikta Hai
So Jaye ‘Kumar’ Skoon Se, Apna Bistar Lgau Kaha-Kaha…
– Ghanendra ‘Kumar’ Bamaniya