Humari Shohrton Ki Maut Benaam-O-Nishan Hogi
Na Koi Charcha Hogi Na Koi Dastan Hogi
Agar Main Lautna Chaahun To Kya Main Laut Sakta Hoon
Voh Duniya Sath Jo Mere Chali Thi Ab Kahan Hogi
Parindey Apne Pro Mein Sab Taare Chupa Lenge
Jawani Char Din Ki Chandni Hai Fir Kahan Hogi
Darkhton Ki Ye Chhaale Bhi Utar Jayengi Patte Kya
Ye Duniya Dheere-Dheere Ek Din Fir Se Jawan Hogi
Hawayein Royengi Sir Fod Lengi In Pahadon Se
Kabhi Jab Baadlon Mein Chand Ki Doli Rawaan Hogi
Kise Maloom Tha Hum Log Ik Bistar Pe Soyenge
Hifazat Ke Liye Talwar Apne Darmiyan Hogi
– Bashir Badr