Sabse chhupa kar jo wo dard muskura diya,

Usiki hansi ne to aaj mujhe rula diya,

Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaa,

Chehra bata raha tha k sab kuch gawa diya,

Aawaz mein therao tha aankhon mein nami thi,

Or keh raha tha k sab kuch bhula diya,

Khud bhi wo humse bichhad kar adhura sa hogaya,

Mujhko bhi itne logo mein tanha bana diya….