Sabhi jazbat khyalat badal jaty hain

Yun mohabbat mein ye din raat badal jaty hain

Pyar to un ko bhi hami sy hy magar jany kyun

Ham karain baat to woh baat badal jaty hain.

Aarzo to hai k izhary mohabat kar doon !

Lafz sunta hoon to lamhat badal jatey hain.

Kitni nafrat thi kabhi pehley mohabat sy hamin..

Ho mohabat to khayalat badal jaty hain,

Aik sa waqt mohabat mein kahan rehta hai

Gardish-e-Waqt sy halat badl jatey hain.