rooz taaron ki numaaish mein khallal parta hai;

chaand pagal hai!..andhere mein nikal parta hai.

ek deewanaa musaafir hai meri aankhon mein;

waqt be-waqt.. thahar jataa hai….chal parta hai..

apni taabeer ke chakkar mein mera jagta khwaab;

rooz sooraj ki tarah ghar se nikal parta hai.

rooz pathar ki himaayat mein ghazal likhte hain;

roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai.

uski yaad aai hai….saanso ! zara aahista chalo;

dharkanon se bhi ….ibaadat mein..khalal partaa hai….