Vo Chandni Ka Badan, Khushbuon Ka Saya Hai
Bahut Azeez Hume Hain, Magar Praya Hai
Utar Aao Kabhi Aasman Ke Zeeno Se
Tumhe Khuda Ne Humare Liye Banaya Hai
Use Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbar Nahi
Use Zamane Ne Shayad Bahut Staya Hai
Mehak Rahi Hai Zameen Chandni Ke Phoolon Se
Khuda Kisi Ki Mohabbat Pe Muskuraya Hai
Kahan Se Aayi Ye Khushboo, Ye Ghar Ki Khushboo Hai
Is Ajnabi Ke Andhere Mein Kaun Aaya Hai
Tamaam Umar Mera Dum Isi Dhuyein Mein Ghuta
Vo Ik Cheerag Tha Maine Use Bujhaya Hai
– Bashir Badr