Khushbu Ki Tarah Aaya Vo Tez Hawaon Mein
Manga Tha Jise Humne Din-Raat Duaon Mein
Tum Chhat Pe Nahi Aaye Main Bhi Ghar Se Nahi Nikla
Ye Chand Bahut Bhatka Sawan Ki Ghataon Mein
Ek Shaher Mein Ek Ladki Bilkul Hai Ghazal Jaisi
Bijli Si Ghataon Mein Khushbu Si Hawaon Mein
Mausam Ka Ishara Hai Khush Rehne Do Dilon Ko
Masoom Mohabbat Hai Phoolon Ki Khataon Mein
Hum Chand Sitaron Ki Rahon Ke Musafir Hain
Har Raat Chamakte Hain Andheri Khalaon* Mein
– Bashir Badr
*Khalaon = Spaces, Atrikhson