Zara si der ko aaye the khawb aankhon mei

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei
Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei
Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei
Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei
Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei
Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei