Woh Humsafa tha

Tark e taulaqaat? pe, Roya na tu na mein,
Lakin yeh kya keh chain se soya na tu, na mein
Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi
keh dhoop chaaon ka alam raha,judaai na thi
Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy,
Jab tak hmary paas rahy , hum nahi rahy
Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shiikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi
Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi
Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi