Uss k nazdek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi
Mutmain aise hai wo jaise hova kuch bhi nahi
Ab to hathon se lakirain bhi miti jati hain
Uss ko kho k to mere pass raha kuch bhi nahi
Char Din reh gaye Mailey k magar ab k bhi
Usny aany k liye khatt mai likha kuch bhi nahi
Kal bicharna hai to phir ehd-e-wafa soch k bandh
Abhi aghaz-e-mohabbat hai gya kuch bhi nahi
Main to iss waste chup hon k tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi
Aye Shumaar ankhen issi tarah bichaye rakhna
Jane kis waqt aa jaye pata kuch bhi nahi