Tum se to kam gila hai

tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyada nasib se
goya tumhari yad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhara tabib se
barbad-e-dil ka akhri saramaya thi umid
vo bhi to tum ne chhin liya mujh garib se
dhundla chali nigah dam-e-wapasi hai ab
a pas a ke dekh lu tujh ko qarib se