Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota
Ahmad Nadeem Qasmi