Poet: Allama Muhammad IQBAAL
(originally written in Persian)
Translated by:
Faiz Ahmad FAIZ
Aashiq K liye Yaksaan, Ka’ba ho k But’khaana,
Yeh Jalwat-e-Janaanaa, Woh Khalwat-e-Janaanaa!
Behtar he Zamaany se, Firdous se Khhush’tar he,
Ek Saaghar-e-May-e-Saaqi, Ek Humdam-e-Farzaana.
Hr Ek ki Nigaah Tujh pr, hr Ek ko Sukhan Tujh se,
Paida Teri Mehfil me Afsaany se Afsaana.
Yeh kon se Qaatil ne Khoon’Gashta kia Dill ko?
Ek Shehr-e-Tamanna ko Ghaarat kia Tarkaana.
Jibreel to Adna sa he Said-e-Zaboon Mera,
Yazdaan Tah-e-Daam Aay ae Himmat-e-Mardaana!
IQBAAL ne Minbar pe hr Raaz-e-Nihaan khola,
Na’Pukhhta hi uth Aaya Azz Khhalwat-e-Maikhaana…!!