Mujhe tujhse ishq nahi nahi

mujhe tujhse ishq nahin nahin
magar ae hasina-e-naaznin
tu ho mujhse door agar kabhi
tujhe dhhondti ho nazar kabhi
to jigar me uthta hai dard sa
mera rang rehta hai zard sa
magar ae hasina-e-naaznin
mujhe tujhse …….
mujhe tujhse ishq nahin nahin
magar ae hasina-e-naaznin
tu kahin ho majma-e-aam me
kisi khel me kisi kaam me
to main chhup ke door hi door se
tujhe dekhta hoon ghuroor se
magar ae hasina-e-naaznin. …..
Mujhe tujhse ishq nahin nahin
magar ae hasina-e-naaznin
tu kahe ye mujhse agar kabhi
hamen laa do laal-o-gauhar kabhi
to main door door ki soch loon
main falak se taare bhi noch loon
woh suboot-e-shauq- e-kamaal doon
tere paon me unhe daal doon
magar ae hasina-e-naaznin
mujhe tujhse ishq nahin nahin