Kya kya na khawb hijar ke mausam mein kho gaye

Kya kya na khawb hijar ke mausam mein kho gaye,
Hum jagte rahe they magar bakht so gaye,
Us ne peyaam bheje to raste mein reh gaye,
Hum ne jo khat likhe woh hawaa burd ho gaye,
Mein sheher e gul mein zakham ka chehra kisey dikhaon,
Shabnam badast log tou kantey chubho gaye,
Aanchal mein phool le ke kahan ja rahi hoon mein,
Jo aney waley log they, woh log to gaye,
Kya janiye ufq ke udhar kya talism hai,
Lautey nahin zameen pe ik baar jo gaye,
Jese badan se qos-e-qaza phootne lagi,
Barish ke haath phool ke sab zakhm dho gaye,
Ankhon mein dheere dheerey utar ke puraney gham,
Palkon main nanhe nanhe sitarey piro gaye,
Woh bachpney ki need tou ab khawb ho gayi,
Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye,
Kya dukh they, kon jaan sake ga, nigar-e-shab,
Jo mere aur tere dupatey bhigo gaye..
(Talism:Magic)(Piro:Attach)(Bhigo:Make Something Wet)(Hawaa Burd:Flown Away with Air)