Koi din gar zindagani aur hai,
Apne jee mein humne thaani aur hai
—————————
Na tha kuchch to Khuda tha, kuchch na hota to Khuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota ?
–––––––-
ragon mein daudte firne ke hum nahi kaayal,
jab aankh hi se na tapka to fir lahoo kya hai?
–––––––-
Khuda ke vaaste pardaa na Kaabe se utha zaalim
Kahin aisa na ho yaa bhi vahi kafir sanam nikale….
–––––––—
Hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat, lekin
Dil ke khush rakhne ko, Ghalib yeh khayal achha hai.
–––––––—
Un ke dekhe se jo aa jaati hai chehre pe raunak
Wo samajhte hain ke beemar ka haal achha hai.
–––––––—
Jala hai jism jahan, dil bhi jal gaya hoga
Kuredte ho jo ab rakh, justuju kya hai?
–––––––—
Ye na thi hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte, yahii intezaar hota
——————
Ishq par zor nahi, hai ye woh aatish, Ghalib,
Jo lagae na lage or bujhae na bujhe
–––––––—
Mat pooch ke kya haal hai mera tere peechhe
Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage.
–––––––—
kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
–––––––—
Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan ‘GHalib’ !
Tujhe ham walee samajhate, jo na baada-Khwaar hota…
–––––––-
Nikalna khuld se aadam ka soonte aaye hain lekin
Bahot be-aabru hokar tere kooche se hum nikle
–––––––-
Hui muddat ke Ghalib mar gaya, par yaad aata hai
Woh har baat par kehna, ke yun hota to kya hota…
—————
Mohabbat mein nahi hai farq jeene aur marne ka,
ussi ko dekh kar jeete hain , jis kaafir pe dum nikle,
bahut nikle mere armaan , lekin phir bhi kam nikle
—————
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na lage bhujhaye na bane