Khud se bohat khafa hoon mein, Khud se bohat juda tha mein

Khud se bohat khafa hoon mein, khud se bohat juda tha mein
Dekha nahin ke kya hoon mein, socha nahin ke kya tha mein
Toot geya bikhar gaya, apne liye tou mar geya hoon mein
Teri taraf tha gaamzan, khud se katta howa tha mein
Kijiye mulahiza zara, daftar maah-o-saal dil
Mera aseer tha yeh dil, is mein parra howa tha mein
Yaad na asakon tou bol, Zang para dareecha khol
Teri gali mein kon tha, Tere labon per kya tha mein
Dekha gali mein kon hai, koi nahin hai, aahatein
Sunta hoon chand saal pehle khud se bichar gaya tha mein
Shikwa karoon to kya karon, Ranj karon tou kiska
Kon samajh saka mujhe, Kis ko smajh saka tha mein
Tu bhi khabar ki leher mein behta chala geya naveed
Tere liye tou theek tha mein, Apne liye bura tha mein