Khayal Rakhna

Tum apni aankhon main ghum k budlay shararton ko saja k rakhna
Kabhi jo aansoo nikal parain tau anna ke khhatir chhupa k rakhna
Na dil dukhana kabhi tum apna udaas raaton ke chaandni saiy
Sambhal rakhna tum apni saansain udasiyun ko mita k rakhna
Kehin ye furqat ke seeyah raatain tumharay ghar main na phail jaaien
Jo bujh gaaiy hain charagh saray unhi ko phir saiy jala k rakhna
Na apnay aanchal k sub rungoan ko safaid karna seeyah karna
Abhi tau jeewan ke rut jawan hay osi ko dil main basa k rakhna
Ajab nehi hay jo kal na budlay isi jahan main naseeb tera
Khushi k lumhon ke ass rakhna khushi saiy chehra saja k rakhna
Jahan main phirtay hain hum akailay tumhi naiy khoya nehi kisi ko
Tum apni halat ka khayal rakhna ore gaisoowon ko bana k rakhna
Na aana baaton main dushmano ke jo hogaya hay wo hogaya hay
Bas sooch apni blund rakhna nigahain apni jhoka k rakhna
Abhi saiy shaukat chhalak raha hay ghumon saiy paimana kyun tumhara
Wo teri soochon main gar hay shamil tujhay hay oska khayal rakhna
By Shaukat Ali Khan