Kaise bataaye kitna pyaar karte hain hum tumse,
ye bhi nahi jaante hum kitni khafaa ho humse
aaogi humaare paas aur dogi jawaab to mar jaaenge hum khushi se
na aaogi to rote rote mar jaaenge hum tere ghum se
kisi aashiq ki mazaar ke wahaan khadaa hua aur uski kabr ka darwaaza khatkhataaya
thodi kahaani humne use bataai apni aur thoda sach usne hume bataaya
baato baato me humne use puch kya usne uski mehbooba ko dil ka haal bataaya
thoda sa khafaa ho gaya woh aur naaraaz ho kar hume ye jataaya
me jise chaahta tha wo kisi aur ki wafaa nibhaati thi
pyaar karti thi humse phir bhi milne nahi aati thi
kaise kisi aur ki wafaa me roz roz jal jaati thi
chitthi me hi dil ka saara haal sunaati thi
us ke dil ka haal sunkar rosz marta tha main
na jaane kitni galiyo se guzarta tha main
sochta tha zindagi ko alvida keh du
lekin marne ke baad uska kaun hoga ye soch ke darta tha main
phir ek din milne aai wo humse
tut chuki thi puri tarhaa ghum se
maine uske dil ka haal jaane bina keh diya
pyaar karte hai tumse hum kasam se
usne kahaa main bhi tumse pyaar karti hoon
phir bhi main kisi aur pe marti hoon
aaj pataa chala ki sirf tera dil hi sachcha hai
uske dil me mere liye jagaa nahi par mere pet me uska bachcha hai
ye sunkar maine use kahaa ki koi fark nahi padta mujhe
mujhe pyaar tum se hai tumhaare jism se nahi
usne kahaa main bhi nahi chaahti apne jism ko
ye kehkar khatam kar diya usne apne aap ko vahi
uske mar jaane ke ghum se maine apni jaan de di
marne ke baad khuda ko apni pehchaan de di
khuda ne kahaa jo ladki tum se pehle aai thi usne tumhe ye bachcha de diya
tumhaari raah dekhkar usne dharti par janam le liya…