Intezaar jaari rahay

Gali mein paon ki manoos ahatoun ki sada
Hui hai dar pe jo makhsoos hath ki dastak
K jaisay a hi gaya ho wo jis ne aana tha
Magar jo dekhta hon khol kar mein darwaza
Tou meri aankhon ko kuch bhi nazar nahi aata
Main sochta hun k ye intezaar jaari rahay………
Agar milaap k dhagon ne hum ko jor diya
Agar visaal k phoolon ko main ne choom liya
Agar firaq ki raaton ko mein ne chor diya
Main intezaar ki khushboo ko bhool jaon ga
Main sochta hun k ye intezaar jaari rahay………
Jo meri aankh ki gehraiyon mein jhaank sakay
Jo meray hath ki tehreer se shinasa ho
Wo jis ke zehn ka saya bhi mera apna ho
Wo jis ki subh bhi meri ho shaam bhi meri
Main intezaar usi aadmi ka karta hun
Jo meri soch ki galiyon mein roshni kar de
Jo meray dekhnay ka daira wasee kar de
Jo roz dil k kiwaron mein a k jhaankti ho
Jo meri shab k piyolon mein roshni bhar de
Main intezaar usi roshni ka karta hun……….
Wo jis ki chaon ki khushboo mein tu mila tha mujhe
Wohi udaas shajar teri raah dekhta hai
Wo waqaiya jo meri yaad ka sawaira hai
Wo waqt jab k mein teray hi paas rehta tha
Main intezaar usi zindagi ka karta hun………..