Hum to faryaad-o-fughaan,aah-o-bakaa kartey hain
Jin se kuch ho nahin sakta,woh dua kartey hain
Khauf-e-mehshar se,woh kab tark-e-jafa kartey hain!
Bohat is tarah ke hungaamey hua kartey hain
Khoob khush baash guzar,ehl-e-safa kartey hain
Na khafa hotey hain aisey,na khafa kartey hain
Aik andaaz-e-sukhan,tarz-e-shikaayat thehri
Hum juda kartey hain shikway,woh juda kartey hain
Poochta hai jo mizaaj apna koi furqat mein
Mouh se itna hi nikalta hai,dua kartey hain
Kuch ta’alluq to rahey,shikwa-e-be-jaa hi sahi!
Na kiya tum ne gila,is ka gila kartey hain
Ya Elaahi! Mere darbaan se woh poochey aa kar
Kaun hai,kis se mulaaqaat hai,kia kartey hain?
Purshish-e-daawar-e-mehshar se darain kiun aashiq?
Yeh khatawaar to bandey ki khata kartey hain
Tum ko beemaar-e-muhabbat se bhi aar aati hai
Hum to achon ke liye roz-e-dua kartey hain
Apney koochey mein na kijiye,meri matti barbaad
Aap bhi khaak urraatey hain,yeh kia kartey hain?
Dastt-e-mizzgaan ka ishaara hai ke ruswa kijiye
Inheen haathon se woh angisht-e-numa kartey hain
Ab yahi zid hai ke hum qatal karain gey tujh ko
Woh to har baat mein apna hi kaha kartey hain
Un ko parwaah nahin,kiun dil ke khareedaar banain?
Muft ke qissey hi woh mol liya kartey hain
Aap ke ishq mein,jo mujh ko na karna tha,kiya
Dekhiye,aap mere waastey kia kartey hain?
Sabar karney ka humaare bhi yahi hai andaaz
Aap jis tarah se paimaan-e-wafa kartey hain
Sach kaha,tazkira-e-ghair se kia haasil hai?
Ek tamaashey ke liye,chairr diya kartey hain
Jaan balabb jaan ke mujh ko yeh payaam aaya hai
Lo mubarak ho ke ab ehd-e-wafa kartey hain
DaaGh ka rashk suna ghair se us ne to kaha
Us ki taqdeer mein jalna hai,jala kartey hain!!!
Poet: Mirza Daagh Dehalvi