Haami BHi Na Thay, Munkar-e-Ghalib Bhi Nahin Thay
Ham Ehl-e-Tazabzub To Kisi Janib Bhi Nahin Thay
Is   Bar   Bhi   Dunya  Ne  Hadaf  Ham Ko Banaya
Is Bar To Ham Shah Ke Masaahib BHi Nahin Thay
Baich Aye Sar-e-Qarya-e-Zar, Johar-e-Pindaar
Jo  Daam   Mily   Aisay  Munasib  Bhi  Nahin  Thay
Matti Ki Muhabbat Main Ham Ashufta Saron Ne
Wo  Qarz Utaray Hain Jo Wajib Bhi Nahin Thay
Lou   Deti  Hoi  Raat,  Sukhan  Karta  Hoa  Din
Sab Us Ke Liye Jis Se Mukhatib BHi Nahin Thay