Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhari ‘’han’’pe wohi sardiyon ka mosam hai
Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Ye aik hum k nai boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Sulag rahi hain dahan me qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mosam hai
Tumhare ane pe soraj k hath chamken ge
Mere makan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Har aik simat pigalane lage hain sanate
Tere biyan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Wo ‘’han’’ kare gi baharon me us ka wada tha
Us aik ‘’han’’ pe wohi sardiyon ka mosam hai
Wo mujh ko sonmp gea farqaten decembe ki
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mosam hai
Hamare lab to duaen jalae rakhate hain
Par asman pe wohi sardiyon ka mosam hai