Ghairat-e-jazbaat

Ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
Warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diya
Yaar ko maine ne mujhe yaar ne sone na diya
Raat bhar taal-e-beedar ne sone na diya
Aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
Umr bhar aapki is baat ne rone na diya
Ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
Pehlu-e-gul ne kabhi khaar ne sone na diya
Unse milkar hamen rona thaa bahut rona thaa
Tang e waqt-e-mulaakat ne rone na diya
Raat bhar ki di le betaab ne baaten mujhse
Ranj-o-mehnat ki giraftaar ne sone na diya
Rone waalon se kaho unka bhee rona rolen
Jinko majboor e haalaat ne rone na diya.