Apne maazi se jo virsay main mile hain hum ko
In asoolon ki tijarat nahin hogi hum se
Ehd-e-Hazir ki her ik baat humain dil se qabool
Sirf toheen-eriwayat nahin hogi hum se
Jhoot bhi bolain, sadaqat ke payambar bhi banain
Hum ko bakhsho, ye siyasat nahin hogi hum se
Zakhm bhi khayen, raqebon ko duain bhi dain
Itni makhdosh sharafat nahin hogi hum se
Surkh pathar ke sanam hon ke woh pathar ke sanam
But kadon main to ibadat nahin hogi hum se
Hai ita’at ke liye apna faqat aik khuda
Na-khudaon ki ita’at nahin hogi hum se
Gher mashroot rafaqat ke tarafdar hain hum
Shart ke saath rafaqat nahin hogi hum se
Fikr-o-Izhaar main hum hukm ke paband nahin
Shayari hasb-e-hidayat nahin hogi hum se
Sirf ye batain agar aap gawara karen
Aap ko koi shikayat nahin hogi hum se