Abhi tu bat lamho tak hai

Abhi tu bat lamho tak hai salon tak nahi aai..
abhi muskanu ki nobat b nalon tak nahi aai..
abhi tak koi majbori khayalon tak nahi aai..
abhi tu gard pairon tak hai baloon tak naho aai..
kaho tu lout jaty hain…………!
chalo aik faisal karny shajar ki ooth jaty hain
abhi kajal ki dori surkh galon tak nahi aai
zuban danton talak hai zehr piyalon tak nahi aai
abhi mushk-e-kasturi ghazalon tak nahi aai
abi rudad-e-beunwan hamry darmian hai
dunya walon tak nahi aai, kaho tu lout jaty hain….
chalo aik faisal karny shajar ki ooth jaty hain
abi nazadeq hai ghar or manzil door hai aapni
mubada naar na hojye yeh hasti noor hai apni
kaho tu laut jaty hain………
ye rasta piyar ka rasta rasangadar ka rasta
bohut dushwar hai jana
k is rasty ka har zara bhi kohsar hai jana
kaho tu lout jaty hain….
chalo aik faisal karny shajar ki ooth jaty hain
mery bary main kuch socho mujhy tu
sath tumhary aamar hony ki hasrat hai
mujhy tay karna aty hain rasangydar k rasty
yeh azabon bhara rasta, yeh andhi ghar ka rasta
tmhary gaison ki chaon main chaye
tu suraj jye tu suraj sy ulajhna baat hi kia hai
uthalo aapna saya tum meri auqat hi kia hai
tumhara narm or nazuq mery hath main ho tu
main yeh samjhon k jaisy do jahan meri muthi main hai’
tumhara qurb ho tu mushkilain kafoor ho jain
yeh andhy or kaly rasty pur noor hojain
mujhy maloom hai itna k daim zindagi posheeda hai
in chaar qadmoon main
bohut si rahatian muzmar hain in dushwar raston main
mery baary main kuch sucho, tum aapni baat butlao
kaho tu chalty rehty hain or kaho tu loat jaty hain