Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi

Ab ke ehsaan jataney bhi nahin aya koi
Mein jo rootha tou mananey bhi na aya koi
Aik woh door ke soney bhi na dete they mujhe
Aik yeh wakt ke jaganey bhi na aya koi
Dag-magata tha tou sou hath lapakte they mujhe
Gir gaya hoon tou uthaney bhi nahin aya koi
Janey ahbab pe kya guzri, khuda kher kare
Arsay se neya zakham laganey nahin aya koi
Aese utra hoon dilon se ke hansaana tou kuja
Aik muddat se rulaney bhi nahin aya koi
Yun tou so baar, toota, jura, magar ab ke amin
Aese toota ke bananey bhi nahin aya koi