Pyaar pyaar se door hota jaa raha hai,
Pyaar pyaar se majboor hota jaa raha hai,
Matlab nikaalne ke liye har koi pyaar karta hai,
Ye jamaane ka dastoor hota jaa raha hai.
Jab nahi aaye the tum,
Tab bhi mere saath the tum,
Dil ki dhadhkan ki tarah,
Tan mei jeevan ki tarah,
Mere dharti, mere mausam, mere din-raat the tum.
Dosti to sirf ek itafaak hai,
Ye do dilo ki mulaakat hai,
Dosti nahi dekhti ye din hai ki raat hai,
Isme to sirf vafadari aur jazbaat hai.
Kya fayeda us phool ka jisme khushboo na ho,
Kya fayeda us amal ke jisme naaIki na ho,
Aur kya fayeda us mobile ko rakhne ka jisse
sms na ho.
Faasle mitaakar aapas me pyaar rakhana,
Dosti ka yeh rishta hamesha barkaraar rakhana,
Bichad jaaye agar aapse ham,
Aakhon me hamesha hamaara intzaar rakhana.
Vo dil hi kya jo tere milne ki dua naa kare,
Mai tujhe bhool ke zindaa rahoon khudaa naa kare.
Tadap ke dekho kisi ke chaahat mei,
To pata chale ki intazaar kya hota hai,
Yu hi mil jaaye koi bina chahe,
To kaise pata chale ki pyaar kya hota hai.
Royengi ye aankhein muskaraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Kabhi roothana naa mujhse mere dost,
Shaayad ye zindagi naa rahe tere rooth jaane ke baad.
Vishvaas ki ek dori hai dosti,
Betaab dil ki majboori hai dosti…
Naa maano to kuch nahi aur,
Maano to khudaa bhi kabhi kamjori hai dosti.
Aap jab saamne se gujar jaate hai,
Armaan dil mei ubhar jaate hai,
Dekhkar aapki pyaari surat,
Sehme hue phool bhi nikhar jaate hai.
-Neha