[pagaL GurIyA]

chalo mai man laiti hoon

ye kehna b tumhara ab

k ye dunia buhat pyari hai

is ko jee ker zara daikho

suno..!!

aik baat kehti hoon

mujhay ruswa na kerna tum

jo mai na lout ker aon

kisi din na mil paon

meri khusbo na lehrae

in urti hawaon mai

ya barish buhat hi ziada ho

aur sb phr b murjae

to bus itna samjh laina

k tumhri is pyari dunia nay

mujhy koi Zakhm phr day dia…!