Nigah e yaar pe palko’n ki agar lagaam na ho

Badan mein door talak zindagi ka naam na ho

Wo be naqaab jo phirta hai gali kucho’n mein

To kaise shehar ke logo’n mein qatal e aam na ho

Mujhe yaqeen hai ke duniya mein dard barh jaein

Agar ye peeney pilaney ke ehtamaam na ho

Bitha ke saamne bus dekhta rahun us ko

Is ke siwa mujhe duniya ka koi kaam na ho

Jo us ko dekh le ek mehtaab ek nazar Mohsin

Mare shehar ki galiyo’n mein kabhi shaam na ho