Nakhal saya daar k jar k ukher jane k baad

aaj pehli eid hai tugh se bichar jane k baad

Eid ati hai dil dukhati hai …!

Yad bichre ho`on ki dilati hai.!

Chand dekha to khayal aya hamen ..!

Jane kab bichre hoe log milen

Jitna mayus hai wo shakhs bichar ker mughse

Itni shiddat se mughe eid pe yaad ata hai

Mughse bichar ker tu bhi royega eid per

Ye soochle k mai bhi teri khuahishon mai hon

Rasm`e`eid hai k milte hee bicharne k lye

Yun na chaho k bicharne ki riwayat na rahe

Eid pe kya bichre k aankhen reza reza hogaen

aaine tote to chehra aur dhundla hogya

Tu jo bichra hai to mehsoos hua hai eid per

Jaise deta ho koi door se awaz mughe

Socho to zehen ai bhanwer se par jate hain

Hum eid per milte hee bichar jate hain