Nae tarha say nibhanay ki dill ne thani hay

Wagarna uss say muhabbat bohat purani hay

Khuda wo din na dikhay k mein kisi say sunooN

Kay tu nein bhi gham-e-dunia say haar mani hay

Zameen pay reh kay sitaray shikaar krtay hein

Mizaaaj ehl-e-muhabbat ka aaasmani hay ,,!

Hamein aziz ho kuion kar na sham-e-gham k yahi

Bicharnay walay ‘ teri akhri nishaani hay

Utar paray ho tu dariyaa say pochna kesa

K saaahlioon say udhar kitna taiz pani hay

Bohat dinoon mein teri yaad aourdh kr utri

Yeh shaam kitni sunehri hay kia suhaani hay

Mein kitni dair usay sochta rahon MOHSIN

Kay jesay uss ka badan bhi koi kahani hay