Mujh se pehli c muhabbat mere mehboob na maang

main ne samjha tha k tu hy to darakhshan hy hayat

Tera gham hy to gham e dehar ka jhagra kia hay

Teri Surat se hay aalam main baharon ko sabaat

Teri aankhon k siwa dunia main rakhaa kiya hai

Tu jo mill jaye to taqdeer nigoon ho jaye

Youn na tha, main ne faqat chaha k yun ho jay

Aur Bhi Dukh hain zamanay main muhabbat k siwa

Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siwa

An ginnat sadiyon k tareek bahemaana talism

Resham o Attlas o Kamkhawb main banwaye huay

JaBaja biktay huay kucha o bazaar main jism

Khaak Main Luthray huay Khoon Main Nehlai huay

Loat Jaati hay idhar ko bhi nazar kiya kijye

Ab Bhi dillkash hay tera husan,magar kiya kijye

Aur bhi dukhhain zamany main muhabbat k siwa

Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat key siwa

MUJH SE PEHLI C MUHABBAT MEREY MEHBOOB NA MANG