Meri zindgi ko ik tamasha bana diya us ne,

Bhari mehfil mein tanha bitha diya us ne..

Aisi kya thi nafrat usko is masoom dil se,

Khushiyan chura kar ghum thama diya us ne..

Bahot naaz tha uski wafa pe kabhi hum ko,

Mujh ko hi meri nazron me gira diya us ne..

Khud bewafa tha meri wafa ki kia qadar karta,

Anmol tha Main khaak mein rula diya us ne

Kisi ko yaad karna to uski fitrat mein shamil nahi

Hawa ka jhonka samajh kar bhula diya us ne…