mere saath tum bhi dua karo yun kisi k haq mein bura na ho

kahin aur ho na ye hadsa koi raastey mein judaa na ho

mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai

zaraa barh ke chand sey puchna vo isi taraf se gayaa na ho

sar-e-shaam thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua

isi mor par merey vaastey vo chiragh le kar khada na ho

vo farishtey aap hi dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein

jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho

vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakey gii ek din

vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho

mujhe yun lagaa k Khaamosh Khushbu k hont titali ney chu liye

inhi zard patton ki ot mein koi phool soyaa huaa na ho

isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa

vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho