Yaadein Aur Yaadein Unhe Samet Sakunga
Daud Paaunga Laa Sakunga Main Woh
Suraj Chuney Ki Aakaansha Woh Niraadhaar Kalpnain
Shayad Nahin Ussi Ddhara Mein
Ussi Gagan Ke Neechey Ajnabi Hun Main
Kuch Bhi To Nahin Badla
Badley Hain Tow Hum Wahi To Phul Khiltey Hain
Baarish Bhi Hoti Hai Wahi Jhuta Samaaj
Jhootey Log Aur Main Samet-Taa Puraani Yaadein
Daudtey Woh Chote Se Kadam Larkhara Kar Mera Girna
Mitti Se Saney Haath Maa Ka Daant-Na Aur
Mera Dubak Sa Jaana Kuch Pal Ke Liye,
Wahi Mamta Ki Pukaar So Jana Fir Maa Ke Aanchal Mein.
Sun-Na Mangarant Kahaaniyan Aur Unki Jhuti Haqiqat.
Kitni Ashaanti Thi Unmein Shaayad Aaj Ki Haqiqat Se Adhik.
Kahan Dhundu Main Uss Aagan Ko
Un Sapno Ko Khoj Do Woh Sapney Jorr Do Mere Tute Khilaune
Kahan Hain Woh Bachpan Ke Saathi
Kahan Aagya Main Chalte-Chaltey
Jahan Se Chala Thi Wahin Le Chalo Mujhko
Prati Ek Din Le Jaa Raha Hai Mujhe Dur Mere Aashiyaan Se
Bahaut Dur Jahan Se Dikhti Hai To Bas Kuch Yaadon Ki Parchayee.