Wah Re Khuda Teri Khudayi
Kya Tune Duniya Banayi
Bhinn-2 Mausam Banaye
Sabhi Insan Ke Kaam Me Aaye
Pal Me Dhoop Pal Me Chaon
Insaan Ki Zaroorat Ke Anuroop
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Duniya Banayee
Ek Chand Or Ek He Suraj
Dono Ki Roshni He Alag Suraj De Garmi
Chand Ki Roshni Thandak Phelaye
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Duniya Banayee
Aftab Ki Roshni Phool Khilaye
Or Mehtab Ki Roshni Man Ko Bhaaye,
Dono Ki Roshni Zuda-2 Kaam Me Aaye
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Duniya Banayee
Hawa, Paani, Roshni
Phal, Phool Or Gizaaye
Ye Nematein Khuda Ne Banayee
Insaan Ki Zaroorat Me Aaye
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Duniya Banayee
Zamin Par Tune Insan Banaye
Zuda-2 Sabki Shaklein Banayee
Koi Kala To Koi He Gora
Koi Patla To Kkoi He Mota
Par Koi N Koi Khoobiyan Banayee
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Duniya Banayee
Insaan Ke Zism Ko Dekho
Ek Gazab Ki Machinery Banaaye
Do Ankh Me Roshni Dekar
Or Kaano Se Aawaz Sunaaye
Haathon Me Taakat Dekar
Peron Se Lambi Doori Te Karwaayee
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Duniya Banayee
Khuda Ki Khudayee Ko Pehchan Aadi
Usi Ne Teri Zindgi Banaaye
Wah Re Khuda Teri Khudayee
Kya Tune Ajab-Gajab Duniya Banayee