Tere Nind Main Hamare Sapno Ka Nishan Nahi Hona
Pareshaan Karata Hai Mere Dukh Men Pareshaan Nahee Hona
Galat Nahee Hindu Nahee Ya Musalman Nahee Hona
Galat Hai Magar Ab Insano Men Eeman Nahee Hona
Gar Koyee Teesra Hota To Suljhata Hamare Jhagade
Fasala Badha Gaya Kisee Ka Darmiyan Nahee Hona
Tere Mushkil Se Hizr Ko Nibha Liya Hai Jab Se
Asaan Sa Lagata Hai Kuch Bhee Asaan Nahee Hona
Yahan Ke Log Mujhe Tere Nam Se Ab Nahee Jaante
Tum Bhee Ayeenda Kabhee Meree Pahchaan Nahee Hona
Wo Jo Sath Tha Pichle Safar Ab Chhod Ke Gaya Hai
Raston Guzarish Hai Tumse Sunsaan Nahee Hona
Kusoorwar Jab Gine Hizr Ke To Khayal Rakhana
Bewafa To Ho Gaya Hai Magar Be-Eeman Nahee Hona
In Nagmon Men Zikr-E-Gunah Hai Gunahgar Nahee Hai
Too Kabhee Ye Gazalen Padhe Agar Pareshan Nahee Hona
Mere Dil Men Rah Liya Tha Gar To Sabab Yahee Tha
Dil Ka Khaleepan Aur Tera Makan Nahee Hona
Too Zinda Raha To Kabhee Shifa Ho Jayegee Teree
Ishq Tum Beemar To Rahana Bejaan Nahee Hona
Nakamyab Huya Ishq To Ye Bhee Sabab Iska
Waqt Bewaqt Iska Koyee Imtehaan Nahee Hona
Tum Par Wo Chand Tikta To Kis Tarah Tikta
Masoom Tum Shayar Ho Asmaan Nahee Ho Na?