Tehkane Tijarat Ke Bhargaye
Palken Ab Ibadat Karni Lagi
Zindagi Afsos Bangayi
Khwaishein Hasraton Mein Behgaye
Gunaah Hogaya Intezaar Aapka
Dastak Hoti Rahi Dar Pe Hamare
Khwaishein Hasratein Bhi Unke Sahare
Rooh Ko Yakeen Tha Aap Hi Ho
Tadap Ke Roya Aks-E -Khwab Ka.
Thodi Umeed, Thoda Aetbaar
Khamoshi Ki Bahein
Baaki Marzi-E-Parvardigaar.
Lut Toh Hum Us Pal Mein Hi Gaye
Jab “Asad” Ki Nigaah Ne Gustaaki Ki
Zindagi Ke Manzar Savar Hi Gaye
Gustaaki Jab Unki Palko Ne Maqbool Ki.