Sar Say Kam Ho Gaya Balon Ka Wabaal Acha Hai
Runuma Honay Laga Rukh Pay Jalaal Acha Hai
Jo Hamain Bakhsha Hai Qudrat Nay Kamaal Acha Hai
Raas Ayengay Mujhay Topi Roomaal Acha Hai
Ek Muddat Say Rahay Hain Ye Meray Sar Pay Sawar
Sar Charhi Cheez Pay Aaya Hai Zawaal Acha Hai
Ab Kinaron Pay Nazer Aatay Hain Sarhad Ki Tarah
Or Kuch Rooz Rahengay Ye Bahaal Acha Hai
Iis Say Pehlay K Ye Aasaar-E-Qadeema Hojayen
Iis Ujarti Hui Kheti Ko Sambhaal Acha Hai
Hamnawa Kehtay Hain Ab Sar Ko Meray Chikna Ghada
Baat Achi Nahin Andaaz-E-Misaal Acha Hai
Hai Ghanimat K Salamat Hai Hamari Darhhi
Iis Khabar Say Meray Hajjam Ka Haal Acha Hai
Ye Burhhapay Ka Aqeeqa Hai Faqat Farq Ye Hai
Iis Main Kartay Nahin Bakray Ko Halaal Acha Hai
Aaina Dekhoon To Hoti Hai Tabiyaat Bhari
Rukhsat-E-Baal Pay Thora Sa Malaal Acha Hai
Jab Koi Poochhta Hai Baal K Jhrhnay Ka Ilaaj
Sar Khuja Kar Main Ye Kehta Hoon Sawaal Acha Hai