Roj Jhukta Hai Sar Uske Aage
Jiska Koi Namo Nishaan Nahi
Kuchh To Hai, Kaheen To Hai
Apne Paas Uski Koi Pehchaan Nahi
Wo Vishaal Hai To Kitna
Kya Parvat Sa Nazar Aata Hai
Ya Itna Sukchhm (Chota)hai Jaise
Kali Mein Paraag Chup Jaata Hai
Wo Itna Jatil To Nahi Ke
Ke Pustak Se Shabdon Tak Seemit Ho
Ya Itna Saral Bhee Nahi Ke
Paani Sa Behta Nazar Aata Ho
Shaayad Wo Ham Sab Mein Ho
Jhaankein Apne Man Ke Darpan Mein
Hamaare Her Karm Mein Shaayad
Uska Yogdaan Nazar Aata Ho
Gar Her Achaai Mein Shaamil Hai Wo
To Buraai Men Bhee Uska Kuchh Haath Hoga
Kabhi Mujhe Dukh Se Ubaarega To Kabhi
Mere Dushman Ke Saath Hoga