Raatein Laut Aayi Hai
Phir Se Maazi Ke Wo Dareechein Khulein
Kabhi Yunhi Kisi Sard Raat Mein Achanak
Suhani Yaadon Ka Koi Hissa
Kisi Barf Ke Narm Gale Ki Tarah
Bin Mausam Ki Sardi Ki Baarish Ki Tarah
Pichhle Peher Ki Khamosh Sarsarahat Ki Maanind
Apne Andar Nami Ka Ehsaas Liye
Yunhi Udti Saba Ki Tarah
Dilko Chhu Jayega
Phirse Dil Muskurayega
Anjaane Se Suron Mein Dhale Geet
Sunega
To Us Waqt, Sun Lo Jaana
Wo Yaadein, Wo Maazi Bhi Apna Tha
Aur Ye Baatein Ye Haal Bhi Apna Hai
Tum Kal Mujhse
Mere Rag-E-Jaan Se
Sab Se Badhke Kareeb The
Aaj Aur Bhi Nazdeek Ho
Mausam To Hote Hi Badalne Ko Hai
Ye Sa’ay Se, Ye Roz-O-Shab
Hote Ghatne Badhane Ko Hai
Mohabbat Sirf Badhane Ko Hai
Har Guzarta Pal
Har Jaata Lamha, Ye Keh Raha Hai
Wo Yaadein, Wo Maazi Bhi Apna Tha
Aur Ye Baatein, Ye Haal Bhi Apna Hai