Paise Ke Peeche Bhagte Bhagte Ve
Apno Ko Peeche Chod Aaye The
Mil To Gaya Tha Unhe Sab Kuch
Par Kabie Santusht Nahin Ho Paaye The
Kho Gaye The Duniya Kee Chamak Mein
So Gaye The Rupayon Kee Khanak Mein
Payee Thi Unhone Bas Joothi Shaan
Ye Paaakar Hi Samajhte The Vo Mahan
Jameer Aatma Ko Bech Daala Tha
Saara Dhan Isliye Kaala Tha
Paise Se Sab Kuch Kharid Sakte Hain
Aisa Bacchon Ke Dimaag Mein Daala Tha
Insaan Hokar Bhi Ve Insaan Naa The
Hamne To Dekhe Kabhie Aise Hevaan Naa The
Paise Se Kharid Lenge Pyaar Ko
Itne Bhi Vo Balwaan Naa The
Sab Kuch Hokar Bhi Ve Gareeb The
Koi Apne Naa Tha Aise Naseeb The
Apne Bhi Unse Door Rehte The Kyonki
Upar Se Hi Bas Vi Shareef The