Nahi Jag Mein Maa Jaisa Duja Ye Baat Bhulao Na
Mamta Mahima Ka Jeevan Mein Dil Kabhi Dukhao Na
Bachho Ke Liye Maa Ne Kitni Chaukhat Pe Sada Di Hain
Her Mandir, Maszid Aur Guru Dhware Mein Sazda Di Hain
Kashto Ko Sahe Ke Jab Duniya Mein Tujko Wo Lai
Tu Roya Maa Roi Tere Hans Ne Se Wo Muskai
Rato Ko Khud Jag Jag Ke Tujhe Sulaya Hain
Khud Bhukhi Pyaasi Rahekar Bhee Tujko Khilaya Hain
Aaisi Mamta Mahima Ke Mann Ko Thes Lagao Na
Mamta Mahima Ka Jeevan Mein Dil Kabhi Dukhao Na
Ek Ek Pagrath Par Chalna Maa Ne Tujko Sikhlaya
Har Sardi Garmi Mein Apne Aanchal Ki Di Chhaya
Tere Lab Pe Pahela Shabda Maa Ka Naam Yahi Aaya
Sunke Tere Mukh Se Maa Ka Mann Thaa Harshaya
Paheli Gur Sabke Jeevan Me Hoti Hai Mata
Maa Ke Charno Mein To Jukta Hai Jag Ka Data
Pila Pila Ke Dudh Wo Apna Bada Kiya Tujko
Sansar Ka Her Sukh Pane Ko Phir Khada Kiya Tujko
Maa Ka Rin Na Utrega Is Rin Ko Bhulao Na
Mamta Mahima Ka Jeevan Mein Dil Kabhi Dukhao Na
Maa Jaisi Pawan Mamta Na Duji Sansar Mein
Sab Kuch Nyochhavar Kar Deti Bachho Ke Pyaar Mein
Is Ek Shabda Mein Chhupi Hai Sari Duniya Ki Daulat
Maa Hi Mandir Maa Hi Puja Aur Maa Hi Hai Jannat
Iske Charno Ki Seva Se Jeevan Dhanya Karlo
Iski Mamta Ki Daulat Se Daman Apna Bhar Lo
Bhagwan Se Bhee Uncha Darja Mata Ka Hota Hain
Jo Thukraye Mamta Inki Durbhagi Hota Hain
Thukrake Maa Ko Jeevan Apna Narka Nbanao Na
Mamta Mahima Ka Jeevan Mein Dil Kabhi Dukhao Na